aaghosh-e-gul mein lazzat-e-sohbat nahin rahi
āġhosh-e-gul meñ lazzat-e-sohbat nahīñ rahī
kis se kahūñ ki qaus-e-mohabbat nahīñ rahī
maujūd huuñ bisāt-e-tamannā ke dasht meñ
pahlū meñ ābrū-e-hazīmat nahīñ rahī
dekhā use to qarz-e-vafā yaad aa gayā
bātoñ meñ us kī ḳhū-e-irādat nahīñ rahī
maiñ bhuul ke bhī us kī galī meñ na jā.ūñgī
pahchāntī huuñ dil meñ muravvat nahīñ rahī
shāmoñ ke saa.e DhūñDne nikle the kal yahīñ
kahte haiñ aaj ishq kī mohlat nahīñ rahī
bikhre hue haiñ lafz bhī nauhagarī kahāñ
dil meñ havā-e-ḳhalvat-o-jalvat nahīñ rahī
ab bas karo ki āñkhoñ meñ paanī nahīñ rahā
is zindagī meñ ab koī tohmat nahīñ rahī
aaghosh-e-gul mein lazzat-e-sohbat nahin rahi
kis se kahun ki qaus-e-mohabbat nahin rahi
maujud hun bisat-e-tamanna ke dasht mein
pahlu mein aabru-e-hazimat nahin rahi
dekha use to qarz-e-wafa yaad aa gaya
baaton mein us ki KHu-e-iradat nahin rahi
main bhul ke bhi us ki gali mein na jaungi
pahchanti hun dil mein murawwat nahin rahi
shamon ke sae DhunDne nikle the kal yahin
kahte hain aaj ishq ki mohlat nahin rahi
bikhre hue hain lafz bhi nauhagari kahan
dil mein hawa-e-KHalwat-o-jalwat nahin rahi
ab bas karo ki aankhon mein pani nahin raha
is zindagi mein ab koi tohmat nahin rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.