aah ab tak to be-asar na hui
aah ab tak to be-asar na huī
kuchh tumhīñ ko mirī ḳhabar na huī
shaam se fikr-e-sub.h kyā shab-e-hijr
mar raheñge agar sahar na huī
kis se dil kā surāġh pā.eñge ham
tū hī ai aarzū agar na huī
ḳhalq samjhī mujhī ko dīvāna
chāra farmā.e chārāgar na huī
kuchh nazar kah ga.ī zabāñ na khulī
baat un se huī magar na huī
shikva kyā un se ḳhūn-e-nāhaq kā
zindagī thī huī basar na huī
hashr kā din bhī Dhal gayā 'fānī'
dil kī rūdād muḳhtasar na huī
aah ab tak to be-asar na hui
kuchh tumhin ko meri KHabar na hui
sham se fikr-e-subh kya shab-e-hijr
mar rahenge agar sahar na hui
kis se dil ka suragh paenge hum
tu hi ai aarzu agar na hui
KHalq samjhi mujhi ko diwana
chaara farmae chaaragar na hui
kuchh nazar kah gai zaban na khuli
baat un se hui magar na hui
shikwa kya un se KHun-e-nahaq ka
zindagi thi hui basar na hui
hashr ka din bhi Dhal gaya 'fani'
dil ki rudad muKHtasar na hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.