aah be-gana-e-asar to nahin
aah be-gāna-e-asar to nahīñ
vo bhī ab mujh se be-ḳhabar to nahīñ
suunī suunī paḌī hai bazm-e-jamāl
muntazir sab haiñ muntazar to nahīñ
rāste kar rahe haiñ sargoshī
jazba pāband-e-rāhbar to nahīñ
kaaT deñ ik umīd-e-fardā par
zindagī itnī muḳhtasar to nahīñ
sirf gard-e-safar hai ai yaaro
kahkashāñ un kī rahguzar to nahīñ
jaane kab TuuT jaa.e tār-e-nafas
rishta-e-umr mo'atabar to nahīñ
ai 'hayāt' ā.īna hoñ kyā jalve
sab yahāñ sāhab-nazar to nahīñ
aah be-gana-e-asar to nahin
wo bhi ab mujh se be-KHabar to nahin
suni suni paDi hai bazm-e-jamal
muntazir sab hain muntazar to nahin
raste kar rahe hain sargoshi
jazba paband-e-rahbar to nahin
kaT den ek umid-e-farda par
zindagi itni muKHtasar to nahin
sirf gard-e-safar hai ai yaro
kahkashan un ki rahguzar to nahin
jaane kab TuT jae tar-e-nafas
rishta-e-umr mo'atabar to nahin
ai 'hayat' aaina hon kya jalwe
sab yahan sahab-nazar to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.