aah bhī harf-e-duā ho jaise
ik dukhī dil kī sadā ho jaise
vo hai ḳhāmosh to yuuñ lagtā hai
ham se rab ruuTh gayā ho jaise
naam likh likh ke miTātā hai mirā
ye bhī ik naqsh-e-vafā ho jaise
dil ke ā.īne meñ hai ik chehra
koī shai DhūñD rahā ho jaise
zindagī uuñgh rahī hai ai 'josh'
kisī muflis kā diyā ho jaise
aah bhi harf-e-dua ho jaise
ek dukhi dil ki sada ho jaise
wo hai KHamosh to yun lagta hai
hum se rab ruTh gaya ho jaise
nam likh likh ke miTata hai mera
ye bhi ek naqsh-e-wafa ho jaise
dil ke aaine mein hai ek chehra
koi shai DhunD raha ho jaise
zindagi ungh rahi hai ai 'josh'
kisi muflis ka diya ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.