aah jis waqt sar uThati hai
aah jis vaqt sar uThātī hai
arsh par barchhiyāñ chalātī hai
nāz-bardār-e-lab hai jaañ jab se
tere ḳhat kī ḳhabar ko paatī hai
ai shab-e-hijr raast kah tujh ko
baat kuchh sub.h kī bhī aatī hai
chashm-e-bad-dūr-chasm-e-tar ai 'mīr'
āñkheñ tūfān ko dikhātī hai
aah jis waqt sar uThati hai
arsh par barchhiyan chalati hai
naz-bardar-e-lab hai jaan jab se
tere KHat ki KHabar ko pati hai
ai shab-e-hijr rast kah tujh ko
baat kuchh subh ki bhi aati hai
chashm-e-bad-dur-chasm-e-tar ai 'mir'
aankhen tufan ko dikhati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.