aah ko jo kahun burai ki
aah ko jo kahūñ burā.ī kī
baḳht ne kaun sī rasā.ī kī
mehrbāñ vo hue to hairāñ huuñ
un se kyā maiñ ne bevafā.ī kī
us ke raf-e-gumān-e-bad ke liye
muddatoñ ham ne pārsā.ī kī
zo.af meñ sar hilā na bālīñ se
go bahut tāqat-āzmā.ī kī
sab se begāna ham rahe 'ārif'
dostī kī na āshnā.ī kī
aah ko jo kahun burai ki
baKHt ne kaun si rasai ki
mehrban wo hue to hairan hun
un se kya main ne bewafai ki
us ke raf-e-guman-e-bad ke liye
muddaton hum ne parsai ki
zoaf mein sar hila na baalin se
go bahut taqat-azmai ki
sab se begana hum rahe 'arif'
dosti ki na aashnai ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.