aah maiñ be-qarār kis kā huuñ
kushta-e-intizār kis kā huuñ
tiir sā dil meñ kuchh khaTaktā hai
dekhiyo maiñ shikār kis kā huuñ
dil hai yā maiñ huuñ maiñ huuñ yā dil hai
aur ab ham-kanār kis kā huuñ
chain aatā nahīñ mujhe yaaro
dil-e-pur-iztirār kis kā huuñ
chaak hai misl-e-gul tamām badan
yā rab itnā figār kis kā huuñ
'soz' maiñ jo kahā kahāñ thā yaar
bolā chal be maiñ yaar kis kā huuñ
aah main be-qarar kis ka hun
kushta-e-intizar kis ka hun
tir sa dil mein kuchh khaTakta hai
dekhiyo main shikar kis ka hun
dil hai ya main hun main hun ya dil hai
aur ab ham-kanar kis ka hun
chain aata nahin mujhe yaro
dil-e-pur-iztirar kis ka hun
chaak hai misl-e-gul tamam badan
ya rab itna figar kis ka hun
'soz' main jo kaha kahan tha yar
bola chal be main yar kis ka hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.