aah wo kaun tha KHuda-mara
aah vo kaun thā ḳhudā-mārā
jis ne us se mujhe lagā maarā
ek hai tū bhī bad-balā ai chashm
dil ko phir zulf meñ phañsā maarā
kyā ġhazab bhī vo jumbish-e-abrū
saaf jis ne ki nīmchā maarā
ba.ad muddat mile the kal un se
aaj logoñ ne phir laḌā maarā
vasl kī shab bhī maiñ na soyā aah
shab-e-hijrāñ ke ḳhauf kā maarā
aah wo kaun tha KHuda-mara
jis ne us se mujhe laga mara
ek hai tu bhi bad-bala ai chashm
dil ko phir zulf mein phansa mara
kya ghazab bhi wo jumbish-e-abru
saf jis ne ki nimcha mara
baad muddat mile the kal un se
aaj logon ne phir laDa mara
wasl ki shab bhi main na soya aah
shab-e-hijran ke KHauf ka mara
- Book : Noquush (Pg. B-421 E431)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.