aah ye hijr ke lamhat tumhein kya malum
aah ye hijr ke lamhāt tumheñ kyā ma.alūm
sho.ala-zan haiñ mire jazbāt tumheñ kyā ma.alūm
tum ne sāhil se hī dekhe haiñ safīne sab ke
Dūbne vāloñ ke hālāt tumheñ kyā ma.alūm
tum to vāqif hī nahīñ zahr kī lazzat se abhī
kaise kaTtī hai mirī raat tumheñ kyā ma.alūm
mujh se vāqif ho bas itnā ki maiñ hans detā huuñ
dil kī barbādī ke hālāt tumheñ kyā ma.alūm
un ko begāna tasavvur na karo ai 'anjum'
nīchī nazroñ kī karāmāt tumheñ kyā ma.alūm
aah ye hijr ke lamhat tumhein kya malum
shoala-zan hain mere jazbaat tumhein kya malum
tum ne sahil se hi dekhe hain safine sab ke
Dubne walon ke haalat tumhein kya malum
tum to waqif hi nahin zahr ki lazzat se abhi
kaise kaTti hai meri raat tumhein kya malum
mujh se waqif ho bas itna ki main hans deta hun
dil ki barbaadi ke haalat tumhein kya malum
un ko begana tasawwur na karo ai 'anjum'
nichi nazron ki karamat tumhein kya malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.