aahon mein sharar le kar jaun to kahan jaun
aahoñ meñ sharar le kar jā.ūñ to kahāñ jā.ūñ
jazboñ kā bhañvar le kar jā.ūñ to kahāñ jā.ūñ
har samt ḳhudāoñ ke ā.īne haiñ istāda
gustāḳh-nazar le kar jā.ūñ to kahāñ jā.ūñ
maiñ zahr-e-halāhal kā qaa.il to nahīñ lekin
nāsūr-e-jigar le kar jā.ūñ to kahāñ jā.ūñ
dushman hai huā jaanī bārish bhī hai tezābī
jaltā huā ghar le kar jā.ūñ to kahāñ jā.ūñ
suntā huuñ ki sajde meñ hai qurb-e-ḳhudāvandī
fir.aun kā sar le kar jā.ūñ to kahāñ jā.ūñ
sayyād ke kūche se har raah guzartī hai
ab izn-e-safar le kar jā.ūñ to kahāñ jā.ūñ
hassās zamāne meñ a.amāl kī vaq.at hai
lafzoñ kā hunar le kar jā.ūñ to kahāñ jā.ūñ
aahon mein sharar le kar jaun to kahan jaun
jazbon ka bhanwar le kar jaun to kahan jaun
har samt KHudaon ke aaine hain istada
gustaKH-nazar le kar jaun to kahan jaun
main zahr-e-halahal ka qail to nahin lekin
nasur-e-jigar le kar jaun to kahan jaun
dushman hai hua jaani barish bhi hai tezabi
jalta hua ghar le kar jaun to kahan jaun
sunta hun ki sajde mein hai qurb-e-KHudawandi
firaun ka sar le kar jaun to kahan jaun
sayyaad ke kuche se har rah guzarti hai
ab izn-e-safar le kar jaun to kahan jaun
hassas zamane mein aamal ki waqat hai
lafzon ka hunar le kar jaun to kahan jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.