aahon se mere ghar mein hawa garm rahegi
aahoñ se mire ghar meñ havā garm rahegī
maiñ jā.ūñgā to bhī mirī jā garm rahegī
bharte hī raheñge nafas-e-sard hazāroñ
jab tak ki tarī ān-o-adā garm rahegī
jalnā mire tab dil kā lagegā ye Thikāne
sohbat tarī jab mujh se sadā garm rahegī
choTī meñ dil-e-soḳhta ko gūñdh ke pyāre
mat phek qifā par ki qifā garm rahegī
bulbul na mujhe dījiyo to naale kī taklīf
varna asar is ke se sabā garm rahegī
jab tak nahiñ to duḳhtar-e-raz hī ko rakhūñgā
kuchh to ye baġhal merī bhalā garm rahegī
'ushshāq ko tarġhīb-e-mohabbat hī karegā
jab tak hai 'hasan' bazm-e-vafā garm rahegī
aahon se mere ghar mein hawa garm rahegi
main jaunga to bhi meri ja garm rahegi
bharte hi rahenge nafas-e-sard hazaron
jab tak ki tari aan-o-ada garm rahegi
jalna mere tab dil ka lagega ye Thikane
sohbat tari jab mujh se sada garm rahegi
choTi mein dil-e-soKHta ko gundh ke pyare
mat phek qifa par ki qifa garm rahegi
bulbul na mujhe dijiyo to nale ki taklif
warna asar is ke se saba garm rahegi
jab tak nahin to duKHtar-e-raz hi ko rakhunga
kuchh to ye baghal meri bhala garm rahegi
'ushshaq ko targhib-e-mohabbat hi karega
jab tak hai 'hasan' bazm-e-wafa garm rahegi
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.