aai hai kuchh na puchh qayamat kahan kahan
aa.ī hai kuchh na pūchh qayāmat kahāñ kahāñ
uf le ga.ī hai mujh ko mohabbat kahāñ kahāñ
betābī-o-sukūñ kī huiiñ manzileñ tamām
bahlā.eñ tujh se chhuT ke tabī'at kahāñ kahāñ
furqat ho yā visāl vahī iztirāb hai
terā asar hai ai ġham-e-furqat kahāñ kahāñ
har jumbish-e-nigāh meñ sad-kaif be-ḳhudī
bhartī phiregī husn kī niyyat kahāñ kahāñ
rāh-e-talab meñ chhoḌ diyā dil kā saath bhī
phirte liye hue ye musībat kahāñ kahāñ
dil ke ufuq tak ab to haiñ parchhā.iyāñ tirī
le jaa.e ab to dekh ye vahshat kahāñ kahāñ
ai nargis-e-siyāh batā de tire nisār
kis kis ko hai ye hosh ye ġhaflat kahāñ kahāñ
nairañg-e-ishq kī hai koī intihā ki ye
ye ġham kahāñ kahāñ ye masarrat kahāñ kahāñ
begāngī par us kī zamāne se ehtirāz
dar-parda us adā kī shikāyat kahāñ kahāñ
farq aa gayā thā daur-e-hayāt-o-mamāt meñ
aa.ī hai aaj yaad vo sūrat kahāñ kahāñ
jaise fanā baqā meñ bhī koī kamī sī ho
mujh ko paḌī hai terī zarūrat kahāñ kahāñ
duniyā se ai dil itnī tabī'at bharī na thī
tere liye uThā.ī nadāmat kahāñ kahāñ
ab imtiyāz-e-ishq-o-havas bhī nahīñ rahā
hotī hai terī chashm-e-ināyat kahāñ kahāñ
har gaam par tarīq-e-mohabbat meñ maut thī
is raah meñ khule dar-e-rahmat kahāñ kahāñ
hosh-o-junūñ bhī ab to bas ik baat haiñ 'firāq'
hotī hai us nazar kī sharārat kahāñ kahāñ
aai hai kuchh na puchh qayamat kahan kahan
uf le gai hai mujh ko mohabbat kahan kahan
betabi-o-sukun ki huin manzilen tamam
bahlaen tujh se chhuT ke tabi'at kahan kahan
furqat ho ya visal wahi iztirab hai
tera asar hai ai gham-e-furqat kahan kahan
har jumbish-e-nigah mein sad-kaif be-KHudi
bharti phiregi husn ki niyyat kahan kahan
rah-e-talab mein chhoD diya dil ka sath bhi
phirte liye hue ye musibat kahan kahan
dil ke ufuq tak ab to hain parchhaiyan teri
le jae ab to dekh ye wahshat kahan kahan
ai nargis-e-siyah bata de tere nisar
kis kis ko hai ye hosh ye ghaflat kahan kahan
nairang-e-ishq ki hai koi intiha ki ye
ye gham kahan kahan ye masarrat kahan kahan
begangi par us ki zamane se ehtiraaz
dar-parda us ada ki shikayat kahan kahan
farq aa gaya tha daur-e-hayat-o-mamat mein
aai hai aaj yaad wo surat kahan kahan
jaise fana baqa mein bhi koi kami si ho
mujh ko paDi hai teri zarurat kahan kahan
duniya se ai dil itni tabi'at bhari na thi
tere liye uThai nadamat kahan kahan
ab imtiyaz-e-ishq-o-hawas bhi nahin raha
hoti hai teri chashm-e-inayat kahan kahan
har gam par tariq-e-mohabbat mein maut thi
is rah mein khule dar-e-rahmat kahan kahan
hosh-o-junun bhi ab to bas ek baat hain 'firaq'
hoti hai us nazar ki shararat kahan kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.