aai thi us taraf jo hawa kaun le gaya
aa.ī thī us taraf jo havā kaun le gayā
ḳhālī paḌā hai taaq diyā kaun le gayā
is shahr meñ to koī sulaimān bhī nahīñ
maiñ kyā batā.ūñ taḳht-e-sabā kaun le gayā
dushman aqab meñ aa bhī gayā aur abhī talak
tum ko ḳhabar nahīñ hai asā kaun le gayā
apne badan se lipTā huā aadmī thā maiñ
mujh se chhuḌā ke mujh ko batā kaun le gayā
'gauhar' ye mājrā to parindoñ se pūchhnā
peḌoñ ko kyā pata hai havā kaun le gayā
aai thi us taraf jo hawa kaun le gaya
KHali paDa hai taq diya kaun le gaya
is shahr mein to koi sulaiman bhi nahin
main kya bataun taKHt-e-saba kaun le gaya
dushman aqab mein aa bhi gaya aur abhi talak
tum ko KHabar nahin hai asa kaun le gaya
apne badan se lipTa hua aadmi tha main
mujh se chhuDa ke mujh ko bata kaun le gaya
'gauhar' ye majra to parindon se puchhna
peDon ko kya pata hai hawa kaun le gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.