aaina-dar-e-jalwa-e-jaanana ban gaya
ā.īna-dār-e-jalva-e-jānāna ban gayā
har zarra kā.enāt kā dīvāna ban gayā
mahfil meñ un kī sūrat-e-parvāna ban gayā
jis meñ zarā bhī hosh thā dīvāna ban gayā
qaa.em rahā namāz meñ bhī zauq-e-ma.asiyat
uTThe duā ko haath to paimāna ban gayā
terī samā.ī vus.at-e-kaunain meñ na thī
merā hī dil thā jo tirā kāshāna ban gayā
kuchh is tarah se hashr meñ badlī mirī zabāñ
merā fasāna aap kā afsāna ban gayā
mujh rind-e-bāda-mast kī qismat to dekhiye
abr-e-karam bhī josh meñ mai-ḳhāna ban gayā
'raushan' zahe-nasīb ki qadmoñ pe husn ke
maiñ jaan de ke hāsil-e-afsāna ban gayā
aaina-dar-e-jalwa-e-jaanana ban gaya
har zarra kaenat ka diwana ban gaya
mahfil mein un ki surat-e-parwana ban gaya
jis mein zara bhi hosh tha diwana ban gaya
qaem raha namaz mein bhi zauq-e-masiyat
uTThe dua ko hath to paimana ban gaya
teri samai wusat-e-kaunain mein na thi
mera hi dil tha jo tera kashana ban gaya
kuchh is tarah se hashr mein badli meri zaban
mera fasana aap ka afsana ban gaya
mujh rind-e-baada-mast ki qismat to dekhiye
abr-e-karam bhi josh mein mai-KHana ban gaya
'raushan' zahe-nasib ki qadmon pe husn ke
main jaan de ke hasil-e-afsana ban gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.