aaina-e-dil mein kuchh agar hai
ā.īna-e-dil meñ kuchh agar hai
terā hī jamāl jalva-gar hai
ham mar ga.e terī justujū meñ
be-rahm kahāñ hai tū kidhar hai
rahbar nahīñ chāhtī rah-e-ishq
vaañ shauq hī apnā rāhbar hai
kyuuñ maare hai laaf hajj-e-akbar
apne kiye par bhī kuchh nazar hai
ka.abe sī jagah pahuñch phir aayā
tū haajī nahīñ hai giidī ḳhar hai
us dar hī kī aarzū meñ 'joshish'
ye musht-e-ġhubār dar-ba-dar hai
aaina-e-dil mein kuchh agar hai
tera hi jamal jalwa-gar hai
hum mar gae teri justuju mein
be-rahm kahan hai tu kidhar hai
rahbar nahin chahti rah-e-ishq
wan shauq hi apna rahbar hai
kyun mare hai laf hajj-e-akbar
apne kiye par bhi kuchh nazar hai
kabe si jagah pahunch phir aaya
tu haji nahin hai gidi KHar hai
us dar hi ki aarzu mein 'joshish'
ye musht-e-ghubar dar-ba-dar hai
- Deewan-e-Joshish(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.