aaina-e-hayat hai yaksar lahu lahu
ā.īna-e-hayāt hai yaksar lahū lahū
lamhoñ ke haath meñ bhī hai patthar lahū lahū
sāñsoñ ke āsmāñ kā hai manzar lahū lahū
jaise ho kā.enāt kā daftar lahū lahū
aatī nahīñ hai ab koī nāqūs kī sadā
ehsās-e-be-navā kā hai mandar lahū lahū
ham shahr-e-dushmanāñ se nikal aa.e haiñ ba-ḳhair
thā dostoñ ke shahr kā manzar lahū lahū
aate hī apne hosh meñ dekhā hai jā-ba-jā
apne tasavvurāt kā paikar lahū lahū
jab fan ke regzār meñ chalne lagī thī lū
thā fikr kā amiiq samundar lahū lahū
ḳhvāhish kī bastiyoñ meñ ye manzar bhī ḳhuub hai
vīrān rahguzar hai to ghar ghar lahū lahū
aaina-e-hayat hai yaksar lahu lahu
lamhon ke hath mein bhi hai patthar lahu lahu
sanson ke aasman ka hai manzar lahu lahu
jaise ho kaenat ka daftar lahu lahu
aati nahin hai ab koi naqus ki sada
ehsas-e-be-nawa ka hai mandar lahu lahu
hum shahr-e-dushmanan se nikal aae hain ba-KHair
tha doston ke shahr ka manzar lahu lahu
aate hi apne hosh mein dekha hai ja-ba-ja
apne tasawwuraat ka paikar lahu lahu
jab fan ke regzar mein chalne lagi thi lu
tha fikr ka amiq samundar lahu lahu
KHwahish ki bastiyon mein ye manzar bhi KHub hai
viran rahguzar hai to ghar ghar lahu lahu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.