aaina mera badal kar le gaya
ā.īna merā badal kar le gayā
kis liye mujh ko safar par le gayā
sab sukūñ merā samundar le gayā
niiñd āñkhoñ kī churā kar le gayā
ḳhālī dāman ghar meñ aayā aur phir
dhuup jitnī thī vo bhar kar le gayā
maiñ ta.āqub meñ rahā jis ke liye
us ko koī ghar se bāhar le gayā
jaane us ko kyā nazar aayā yahāñ
bāñdh kar merā hī vo ghar le gayā
ghar tahī-dāman vo jaatā kis tarah
dard-o-ġham jo thā bachā kar le gayā
aaina mera badal kar le gaya
kis liye mujh ko safar par le gaya
sab sukun mera samundar le gaya
nind aankhon ki chura kar le gaya
KHali daman ghar mein aaya aur phir
dhup jitni thi wo bhar kar le gaya
main taaqub mein raha jis ke liye
us ko koi ghar se bahar le gaya
jaane us ko kya nazar aaya yahan
bandh kar mera hi wo ghar le gaya
ghar tahi-daman wo jata kis tarah
dard-o-gham jo tha bacha kar le gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.