aaina sa andheri raat ka main
ā.īna sā añdherī raat kā maiñ
ḳhvāb huuñ ḳhvāhish-e-nashāt kā maiñ
ḳhauf ik TūTtī qanāt kā maiñ
yā tazabzub hisār-e-zāt kā maiñ
chaal se kis kī piT gayā huuñ maiñ
jaane mohra huuñ kis bisāt kā maiñ
maiñ huuñ apne hunar pe vārafta
yā huuñ qātil tirī sifāt kā maiñ
Dūbtī aañkh meñ tasavvur sā
dhuup meñ rañg-e-be-hayāt kā maiñ
be-sabātī kī dhund meñ lipTā
rāsta huuñ tire sabāt kā maiñ
zindagī karbalā kā ik lamha
aur pyāsā lab-e-furāt kā maiñ
aaina sa andheri raat ka main
KHwab hun KHwahish-e-nashat ka main
KHauf ek TuTti qanat ka main
ya tazabzub hisar-e-zat ka main
chaal se kis ki piT gaya hun main
jaane mohra hun kis bisat ka main
main hun apne hunar pe warafta
ya hun qatil teri sifat ka main
Dubti aankh mein tasawwur sa
dhup mein rang-e-be-hayat ka main
be-sabaati ki dhund mein lipTa
rasta hun tere sabaat ka main
zindagi karbala ka ek lamha
aur pyasa lab-e-furaat ka main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.