aaine ke aaKHiri izhaar mein
aa.ine ke āḳhirī iz.hār meñ
maiñ bhī huuñ shām-e-abad-āsār meñ
dekhte hī dekhte gum ho ga.ī
raushnī baḌhtī huī raftār meñ
qatra qatra chhat se hī risne lagī
dhuup kā rasta na thā dīvār meñ
apnī āñkheñ hī maiñ bhuul aayā kahīñ
raat itnī bhiiḌ thī bāzār meñ
baar baar aatā rahā hai terā naam
aa.ina hotī huī guftār meñ
duur tak bichhtī chalī jaatī thī niind
ḳhvāb aatā hī na thā iz.hār meñ
aaine ke aaKHiri izhaar mein
main bhi hun sham-e-abad-asar mein
dekhte hi dekhte gum ho gai
raushni baDhti hui raftar mein
qatra qatra chhat se hi risne lagi
dhup ka rasta na tha diwar mein
apni aankhen hi main bhul aaya kahin
raat itni bhiD thi bazar mein
bar bar aata raha hai tera nam
aaina hoti hui guftar mein
dur tak bichhti chali jati thi nind
KHwab aata hi na tha izhaar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.