aaine ke us taraf se is taraf aate hue
aa.ine ke us taraf se is taraf aate hue
'umr guzrī hai ḳhudī ko ḳhud se milvāte hue
yuuñ samajh liije hamārī 'ishq meñ bechārgī
Duub jaanā thā hameñ tairākiyāñ aate hue
jaane us shab kyā huā thā merī aql-o-hosh ko
ḳhud bahakne lag gayā thā us ko samjhāte hue
be-sabab kuchh bhī nahīñ thā be-sabab tanqīd bhī
vo miTā.e jā rahā thā naqsh-e-pā jaate hue
aap ke pīchhe guzārī zindagī mat pūchhiye
kāTnī thī kaaT lī rote hue gaate hue
ab na liije naam us kā dil ki jis kī zid kiye
so gayā hai thak-thakā kar rote chillāte hue
aaine ke us taraf se is taraf aate hue
'umr guzri hai KHudi ko KHud se milwate hue
yun samajh lije hamari 'ishq mein bechaargi
Dub jaana tha hamein tairakiyan aate hue
jaane us shab kya hua tha meri aql-o-hosh ko
KHud bahakne lag gaya tha us ko samjhate hue
be-sabab kuchh bhi nahin tha be-sabab tanqid bhi
wo miTae ja raha tha naqsh-e-pa jate hue
aap ke pichhe guzari zindagi mat puchhiye
kaTni thi kaT li rote hue gate hue
ab na lije nam us ka dil ki jis ki zid kiye
so gaya hai thak-thaka kar rote chillate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.