aainon ke liye ye baat saadat ki hai
ā.īnoñ ke liye ye baat sa.ādat kī hai
un ko bhī aaj tamanna tirī sūrat kī hai
ho mubārak tumheñ mulkoñ pe hukūmat yaaro
ham ne aḳhlāq se har dil pe hukūmat kī hai
shauq se ahl-e-siyāsat ne sunīñ haiñ bāteñ
kaise samjheñge magar baat sharāfat kī hai
muntaḳhab jin ko kiyā arz-e-tamannā ke liye
un hī lafzoñ ne mire saath baġhāvat kī hai
maiñ ne bhī dekh lī duniyā hī meñ jannat 'anjum'
maiñ ne bhī aaj mirī maañ kī ziyārat kī hai
aainon ke liye ye baat saadat ki hai
un ko bhi aaj tamanna teri surat ki hai
ho mubarak tumhein mulkon pe hukumat yaro
hum ne aKHlaq se har dil pe hukumat ki hai
shauq se ahl-e-siyasat ne sunin hain baaten
kaise samjhenge magar baat sharafat ki hai
muntaKHab jin ko kiya arz-e-tamanna ke liye
un hi lafzon ne mere sath baghawat ki hai
main ne bhi dekh li duniya hi mein jannat 'anjum'
main ne bhi aaj meri man ki ziyarat ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.