aainon se dhul miTane aate hain
ā.īnoñ se dhuul miTāne aate haiñ
kuchh mausam to aag lagāne aate haiñ
niiñd to goyā in āñkhoñ kī dushman hai
mujh ko phir bhī ḳhvāb suhāne aate haiñ
in āñkhoñ meñ rañg tumhāre khulte haiñ
ye mausam kab phuul khilāne aate haiñ
ronā hañsnā hañsnā ronā aadat hai
ham ko bhī kuchh dard chhupāne aate haiñ
shabnam shabnam ḳhvāb utarte haiñ mujh par
sau sau sūraj dhuup ugāne aate haiñ
jism dukāñ hai zehn bikā.ū shahroñ meñ
jañgal to do-chār divāne aate haiñ
aainon se dhul miTane aate hain
kuchh mausam to aag lagane aate hain
nind to goya in aankhon ki dushman hai
mujh ko phir bhi KHwab suhane aate hain
in aankhon mein rang tumhaare khulte hain
ye mausam kab phul khilane aate hain
rona hansna hansna rona aadat hai
hum ko bhi kuchh dard chhupane aate hain
shabnam shabnam KHwab utarte hain mujh par
sau sau suraj dhup ugane aate hain
jism dukan hai zehn bikau shahron mein
jangal to do-chaar diwane aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.