aaina dekhta rahta hai sanwarne wala
aa.ina dekhtā rahtā hai sañvarne vaalā
kaun ab hogā yahāñ pyaar pe marne vaalā
kis kī chāhat kā bharam rakhtā hai dil meñ apne
terī ḳhātir nahīñ koī bhī marne vaalā
bazm se uThne se pahle ye zarā soch bhī le
ḳhvāb ban jā.egā nazroñ se guzarne vaalā
har ghaḌī vo bhī to logoñ kī tarah haiñ rahtā
pahle simTā thā kahā ḳhud se bikharne vaalā
ham nahīñ kahte ye hālāt batāte haiñ hameñ
kab sukūñ paatā hai hālāt se Darne vaalā
gardisheñ vaqt se kahtā hai koī jā ke 'kiran'
ek lamha bhī nahīñ paas Thaharne vaalā
aaina dekhta rahta hai sanwarne wala
kaun ab hoga yahan pyar pe marne wala
kis ki chahat ka bharam rakhta hai dil mein apne
teri KHatir nahin koi bhi marne wala
bazm se uThne se pahle ye zara soch bhi le
KHwab ban jaega nazron se guzarne wala
har ghaDi wo bhi to logon ki tarah hain rahta
pahle simTa tha kaha KHud se bikharne wala
hum nahin kahte ye haalat batate hain hamein
kab sukun pata hai haalat se Darne wala
gardishen waqt se kahta hai koi ja ke 'kiran'
ek lamha bhi nahin pas Thaharne wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.