aaina ho ke aaina na hua
aa.ina ho ke aa.ina na huā
us kā va.ada kabhī vafā na huā
ik sitam bhī karam-numā na huā
zaḳhm khā kar bhī kuchh bhalā na huā
us ko apnā banānā chāhā thā
ham se iz.hār-e-mudda.ā na huā
baat karte to baat ban jaatī
baat karne kā hausla na huā
us ne zulfoñ se Dhak liyā chehra
chāñd se koī rābta na huā
har nazar meñ hai vasl kī chāhat
ishq meñ koī pārsā na huā
TuuTe rishtoñ ko joḌte kaise
jab kabhī us se sāmnā na huā
baat ham ḳhud-kushī kī kyoñ karte
haq bhī jiine kā jab adā na huā
ham ko tanhā.iyoñ ke ma.abad meñ
kuchh bhī kahne kā hausla na huā
laakh da.ave kiye ḳhudā.ī ke
ek fir.aun bhī ḳhudā na huā
dil to mansūb thā usī se 'suhaib'
umr bhar jis se rābta na huā
aaina ho ke aaina na hua
us ka wada kabhi wafa na hua
ek sitam bhi karam-numa na hua
zaKHm kha kar bhi kuchh bhala na hua
us ko apna banana chaha tha
hum se izhaar-e-muddaa na hua
baat karte to baat ban jati
baat karne ka hausla na hua
us ne zulfon se Dhak liya chehra
chand se koi rabta na hua
har nazar mein hai wasl ki chahat
ishq mein koi parsa na hua
TuTe rishton ko joDte kaise
jab kabhi us se samna na hua
baat hum KHud-kushi ki kyon karte
haq bhi jine ka jab ada na hua
hum ko tanhaiyon ke mabad mein
kuchh bhi kahne ka hausla na hua
lakh dawe kiye KHudai ke
ek firaun bhi KHuda na hua
dil to mansub tha usi se 'suhaib'
umr bhar jis se rabta na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.