aaina samne rakha hoga
aa.ina sāmne rakhā hogā
us kā chehrā magar jhukā hogā
kaise paalā hai beTe ko maiñ ne
bhuul jā.egā jab baḌā hogā
shā.irī jaam aur tanhā.ī
hijr kī shab meñ aur kyā hogā
ek arse se sunte aa.e haiñ
jald hī desh kā bhalā hogā
thā na ma.alūm saath rah kar bhī
darmiyān itnā fāsla hogā
ye mohabbat kā khel hai jānāñ
is kī har chaal meñ maza hogā
dekh hālāt muflisoñ ke yahāñ
maiñ nahīñ māntā ḳhudā hogā
hoñgī jis ghar meñ beTiyāñ yaaro
us kā māhaul ḳhushnumā hogā
sub.h ke tiin baj ga.e 'amabar'
uTh jā 'rāhul' bhī uTh gayā hogā
aaina samne rakha hoga
us ka chehra magar jhuka hoga
kaise pala hai beTe ko main ne
bhul jaega jab baDa hoga
shairi jam aur tanhai
hijr ki shab mein aur kya hoga
ek arse se sunte aae hain
jald hi desh ka bhala hoga
tha na malum sath rah kar bhi
darmiyan itna fasla hoga
ye mohabbat ka khel hai jaanan
is ki har chaal mein maza hoga
dekh haalat muflison ke yahan
main nahin manta KHuda hoga
hongi jis ghar mein beTiyan yaro
us ka mahaul KHushnuma hoga
subh ke tin baj gae 'amabar'
uTh ja 'rahul' bhi uTh gaya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.