aaine aur aabgine toD Dalo
aa.ine aur ābgīne toḌ Daalo
dil nazar ke sab nagīne toḌ Daalo
ḳhush-gumānī aur muravvat jo bhī rakkheñ
dil to dil haiñ tum vo siine toḌ Daalo
sab fareb-o-jaur vaale khel khelo
rabt vaale sab qarīne toḌ Daalo
tum ko kyā us paar kis kā hai Thikāna
tum sar-e-sāhil safīne toḌ Daalo
‘ismat-o-‘iffat vaqār-o-ābrū phir
chāhe jis kā haath chhīne toḌ Daalo
aaine aur aabgine toD Dalo
dil nazar ke sab nagine toD Dalo
KHush-gumani aur murawwat jo bhi rakkhen
dil to dil hain tum wo sine toD Dalo
sab fareb-o-jaur wale khel khelo
rabt wale sab qarine toD Dalo
tum ko kya us par kis ka hai Thikana
tum sar-e-sahil safine toD Dalo
‘ismat-o-‘iffat waqar-o-abru phir
chahe jis ka hath chhine toD Dalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.