aaine ki aankh mein patthar gira
aa.ine kī aañkh meñ patthar girā
jhiil meñ jaise koī kankar girā
toḌtā hai jab kisī kā dil koī
lagtā hai jaise ḳhudā kā ghar girā
har taraf phailī sadāoñ kī mahak
lafz kī tasvīr se manzar girā
guuñj uTThe qahqahe ahbāb ke
chalte chalte khā ke jab Thokar girā
aaj 'jauhar' ḳhaar ke āġhosh meñ
narm-o-nāzuk phuul kā paikar girā
aaine ki aankh mein patthar gira
jhil mein jaise koi kankar gira
toDta hai jab kisi ka dil koi
lagta hai jaise KHuda ka ghar gira
har taraf phaili sadaon ki mahak
lafz ki taswir se manzar gira
gunj uTThe qahqahe ahbab ke
chalte chalte kha ke jab Thokar gira
aaj 'jauhar' KHar ke aaghosh mein
narm-o-nazuk phul ka paikar gira
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.