aaine se mukar gaya koi
aa.ine se mukar gayā koī
mujh pe ilzām dhar gayā koī
zindagī le tujhe mubārak ho
jiite jī aaj mar gayā koī
'umr bhar jī rahā thā mar mar ke
phir bhī marne se Dar gayā koī
māñgne ko jo haath phailāyā
reza reza bikhar gayā koī
saath thā ranj-e-ḳhush-dilī 'āzar'
raat jab apne ghar gayā koī
aaine se mukar gaya koi
mujh pe ilzam dhar gaya koi
zindagi le tujhe mubarak ho
jite ji aaj mar gaya koi
'umr bhar ji raha tha mar mar ke
phir bhi marne se Dar gaya koi
mangne ko jo hath phailaya
reza reza bikhar gaya koi
sath tha ranj-e-KHush-dili 'azar'
raat jab apne ghar gaya koi
- Book : Qarz-e-jan (Pg. 68)
- Author : Rashid Azar
- Publication : Rashid Azar (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.