aaiye aasman ki or chalen
aa.iye āsmāñ kī or chaleñ
saath le kar zamīñ kā shor chaleñ
chāñd ulfat kā isti.āra hai
jis kī jānib sabhī chakor chaleñ
yuuñ dabe paañv aa.ī terī yaad
jaise chupke se shab meñ chor chaleñ
dil kī duniyā ajiib duniyā hai
aql ke us pe kuchh na zor chaleñ
sabz-rut chhā.ī yuuñ un āñkhoñ kī
jis tarah naach naach mor chaleñ
tum bhī yuuñ mujh ko aa ke le jaao
jaise le kar patañgeñ Dor chaleñ
aaiye aasman ki or chalen
sath le kar zamin ka shor chalen
chand ulfat ka istiara hai
jis ki jaanib sabhi chakor chalen
yun dabe panw aai teri yaad
jaise chupke se shab mein chor chalen
dil ki duniya ajib duniya hai
aql ke us pe kuchh na zor chalen
sabz-rut chhai yun un aankhon ki
jis tarah nach nach mor chalen
tum bhi yun mujh ko aa ke le jao
jaise le kar patangen Dor chalen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.