aaj aap mere haal pe karte hain tassuf
aaj aap mire haal pe karte haiñ ta.assuf
ashfāq 'ināyāt karam mehr talattuf
ai girya pas-e-qāfila dil naam hai ik yaar
ye ḳhasta bhī nibh jaa.e jo yak dam ho tavaqquf
hai Dol to naala kā vahī dil bhī vahī lek
tāsīr na ab is meñ hai na is meñ tasarruf
suufī hai vo be-ilm ho jo hastī se apnī
kis kaam paḌhā tū ne jo yuuñ ilm-e-tasavvuf
ḳhāmoshī bhī kuchh turfa latīfa hai ki 'qā.em'
karnā paḌe jis meñ na tasanno' na takalluf
aaj aap mere haal pe karte hain tassuf
ashfaq 'inayat karam mehr talattuf
ai girya pas-e-qafila dil nam hai ek yar
ye KHasta bhi nibh jae jo yak dam ho tawaqquf
hai Dol to nala ka wahi dil bhi wahi lek
tasir na ab is mein hai na is mein tasarruf
sufi hai wo be-ilm ho jo hasti se apni
kis kaam paDha tu ne jo yun ilm-e-tasawwuf
KHamoshi bhi kuchh turfa latifa hai ki 'qaem'
karna paDe jis mein na tasanno' na takalluf
- Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.