aaj barso ki KHwab dhul jaen
aaj barso ki ḳhvāb dhul jaa.eñ
dard aur iztirāb dhul jaa.eñ
barq kā raqs ho yahāñ saaqī
dil meñ uThte 'azāb dhul jaa.eñ
mere nāloñ kī parvarish karne
tum jo aao hijāb dhul jaa.eñ
vasl kā ho gilā siyāhī se
aur likkhe vo baab dhul jaa.eñ
kaash chashm-e-hayāt ro-ro kar
aab se ho ke aab dhul jaa.eñ
shaiḳh kahtā hai jhuum kar mujh se
aao pī kar sharāb dhul jaa.eñ
un kī nazroñ kī ik ināyat ho
aaj ḳhāna-ḳharāb dhul jaa.eñ
bazm meñ ab 'murād' aa.eñ aur
ban sag-e-bū-turāb dhul jaa.eñ
aaj barso ki KHwab dhul jaen
dard aur iztirab dhul jaen
barq ka raqs ho yahan saqi
dil mein uThte 'azab dhul jaen
mere nalon ki parwarish karne
tum jo aao hijab dhul jaen
wasl ka ho gila siyahi se
aur likkhe wo bab dhul jaen
kash chashm-e-hayat ro-ro kar
aab se ho ke aab dhul jaen
shaiKH kahta hai jhum kar mujh se
aao pi kar sharab dhul jaen
un ki nazron ki ek inayat ho
aaj KHana-KHarab dhul jaen
bazm mein ab 'murad' aaen aur
ban sag-e-bu-turab dhul jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.