aaj be-āp ho ga.e ham bhī
aap ko pā ke kho ga.e ham bhī
daane kam the dukhoñ kī simran meñ
thoḌe motī piro ga.e ham bhī
der se the vo jis ke ghere meñ
usī jhurmuT meñ kho ga.e ham bhī
jā kai DhūñDā kahāñ kahāñ na tumheñ
jab na paayā to kho ga.e ham bhī
naam jiine kā jāgnā rakh kar
aaj be niiñd so ga.e ham bhī
ro.eñge gar to jag-hañsā.ī ho
karte kyā chup se ho ga.e ham bhī
haa.e re 'ārzū' kī be-āsī
aap be-bas the ro ga.e ham bhī
aaj be-ap ho gae hum bhi
aap ko pa ke kho gae hum bhi
dane kam the dukhon ki simran mein
thoDe moti piro gae hum bhi
der se the wo jis ke ghere mein
usi jhurmuT mein kho gae hum bhi
ja kai DhunDa kahan kahan na tumhein
jab na paya to kho gae hum bhi
nam jine ka jagna rakh kar
aaj be nind so gae hum bhi
roenge gar to jag-hansai ho
karte kya chup se ho gae hum bhi
hae re 'arzu' ki be-asi
aap be-bas the ro gae hum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.