aaj bhi tishnagi ki qismat mein
aaj bhī tishnagī kī qismat meñ
sam-e-qātil hai salsabīl nahīñ
sab ḳhudā ke vakīl haiñ lekin
aadmī kā koī vakīl nahīñ
hai kushāda azal se rū-e-zamīñ
haram-o-dair be-fasīl nahīñ
zindagī apne rog se hai tabāh
aur darmāñ kī kuchh sabīl nahīñ
tum bahut jāzib-o-jamīl sahī
zindagī jāzib-o-jamīl nahīñ
na karo bahs haar jāogī
husn itnī baḌī dalīl nahīñ
aaj bhi tishnagi ki qismat mein
sam-e-qatil hai salsabil nahin
sab KHuda ke wakil hain lekin
aadmi ka koi wakil nahin
hai kushada azal se ru-e-zamin
haram-o-dair be-fasil nahin
zindagi apne rog se hai tabah
aur darman ki kuchh sabil nahin
tum bahut jazib-o-jamil sahi
zindagi jazib-o-jamil nahin
na karo bahs haar jaogi
husn itni baDi dalil nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.