aaj bhi yaad-e-yar baqi hai
aaj bhī yād-e-yār baaqī hai
ishq kā e'tibār baaqī hai
zindagī kī ramaq hai ham meñ abhī
aap kā intizār baaqī hai
yādgār-e-junūñ hamāre paas
dāman-e-tār-tār baaqī hai
phir rahe haiñ salīb uThā.e ham
haañ abhī vasl-e-dār baaqī hai
ye umīdeñ na chhīn leñ hālāt
bas yahī iḳhtiyār baaqī hai
lafz-o-mā'nī kī vus'atoñ ke saath
she'r kā iḳhtisār baaqī hai
marhabā ushshāqān-e-haq tum se
kuchh umīd-e-bahār baaqī hai
aaj bhi yaad-e-yar baqi hai
ishq ka e'tibar baqi hai
zindagi ki ramaq hai hum mein abhi
aap ka intizar baqi hai
yaadgar-e-junun hamare pas
daman-e-tar-tar baqi hai
phir rahe hain salib uThae hum
han abhi wasl-e-dar baqi hai
ye umiden na chhin len haalat
bas yahi iKHtiyar baqi hai
lafz-o-ma'ni ki wus'aton ke sath
she'r ka iKHtisar baqi hai
marhaba ushshaqan-e-haq tum se
kuchh umid-e-bahaar baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.