aaj dekha jo koi shaKHs diwana mere dost
aaj dekhā jo koī shaḳhs dīvāna mire dost
yaad phir aayā mujhe merā fasāna mire dost
maiñ tire hijr meñ chup-chāp chale jaatā huuñ
dil ko aatā hai kahāñ koī bahāna mire dost
ḳhud se niklūñ to na.e shahr kā naqsha dekhūñ
ik zamāne se huuñ mahrūm-e-zamāna mire dost
dil kī bastī meñ faqat āḳhirī tum hī ho makīñ
ek ik kar ke hue dil se ravāna mire dost
ham se āñkheñ na milāo ki ham āvārā haiñ
aise logoñ kā kahāñ ek Thikāna mire dost
aaj dekha jo koi shaKHs diwana mere dost
yaad phir aaya mujhe mera fasana mere dost
main tere hijr mein chup-chap chale jata hun
dil ko aata hai kahan koi bahana mere dost
KHud se niklun to nae shahr ka naqsha dekhun
ek zamane se hun mahrum-e-zamana mere dost
dil ki basti mein faqat aaKHiri tum hi ho makin
ek ek kar ke hue dil se rawana mere dost
hum se aankhen na milao ki hum aawara hain
aise logon ka kahan ek Thikana mere dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.