aaj dil be-qarar hai kya hai
aaj dil be-qarār hai kyā hai
dard hai intizār hai kyā hai
jis se jaltā hai dil jigar vo aah
sho.ala hai yā sharār hai kyā hai
ye jo khaTke hai dil meñ kāñTā sā
mizha hai nok-e-ḳhār hai kyā hai
chashm-e-bad-dūr terī āñkhoñ meñ
nashsha hai yā ḳhumār hai kyā hai
mere hī naam se ḳhudā jaane
nañg hai us ko aar hai kyā hai
jis ne maarā hai daam dil pe mire
ḳhat hai yā zulf-e-yār hai kyā hai
kyuuñ garebān terā aaj 'hasan'
is tarah tār-tār hai kyā hai
aaj dil be-qarar hai kya hai
dard hai intizar hai kya hai
jis se jalta hai dil jigar wo aah
shoala hai ya sharar hai kya hai
ye jo khaTke hai dil mein kanTa sa
mizha hai nok-e-KHar hai kya hai
chashm-e-bad-dur teri aankhon mein
nashsha hai ya KHumar hai kya hai
mere hi nam se KHuda jaane
nang hai us ko aar hai kya hai
jis ne mara hai dam dil pe mere
KHat hai ya zulf-e-yar hai kya hai
kyun gareban tera aaj 'hasan'
is tarah tar-tar hai kya hai
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.