aaj din par hamein kal raat pe rona aaya
aaj din par hameñ kal raat pe ronā aaya
roz badle hue hālāt pe ronā aaya
kyā huā hāl-e-dil-e-zār shab-e-hijr na pūchh
ham ko be-bāt har ik baat pe ronā aaya
hañs diyā nāseh-e-kam-aql mirī bātoñ par
aur mujhe us kī ḳhurāfāt pe ronā aaya
dekh kar hālat-e-ḳhasta tire maiḳhāne kī
pīr-e-mai-ḳhāna tirī zaat pe ronā aaya
jaane kyā bak gayā maiñ haa.e junūñ meñ 'betāb'
jis ko bhī aaya mirī baat pe ronā aaya
aaj din par hamein kal raat pe rona aaya
roz badle hue haalat pe rona aaya
kya hua haal-e-dil-e-zar shab-e-hijr na puchh
hum ko be-baat har ek baat pe rona aaya
hans diya naseh-e-kam-aql meri baaton par
aur mujhe us ki KHurafat pe rona aaya
dekh kar haalat-e-KHasta tere maiKHane ki
pir-e-mai-KHana teri zat pe rona aaya
jaane kya bak gaya main hae junun mein 'betab'
jis ko bhi aaya meri baat pe rona aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.