aaj dista hai haal kuchh ka kuchh
aaj distā hai haal kuchh kā kuchh
kyuuñ na guzre ḳhayāl kuchh kā kuchh
dil-e-be-dil kuuñ aaj kartī hai
shoḳh chanchal kī chaal kuchh kā kuchh
mujko lagtā hai ai parī-paikar
aaj terā jamāl kuchh kā kuchh
asar-e-bāda-e-javānī hai
kar gayā huuñ savāl kuchh kā kuchh
ai 'valī' dil kuuñ aaj kartī hai
bū-e-bāġh-e-visāl kuchh kā kuchh
aaj dista hai haal kuchh ka kuchh
kyun na guzre KHayal kuchh ka kuchh
dil-e-be-dil kun aaj karti hai
shoKH chanchal ki chaal kuchh ka kuchh
mujko lagta hai ai pari-paikar
aaj tera jamal kuchh ka kuchh
asar-e-baada-e-jawani hai
kar gaya hun sawal kuchh ka kuchh
ai 'wali' dil kun aaj karti hai
bu-e-bagh-e-visal kuchh ka kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.