aaj fursat hai to kuchh der Thahar dekh mujhe
aaj fursat hai to kuchh der Thahar dekh mujhe
mujh pe bhī Daal zarā ek nazar dekh mujhe
mere shāne pe tirā sar kabhī hogā tab tak
rakh ke shāne pe sahelī ke hī sar dekh mujhe
tā-qayāmat maiñ jagah se na hilūñgā apnī
tā-qayāmat tū mujhe dekh magar dekh mujhe
jaane kab samjhegī tū maiñ hī tirī manzil huuñ
marhaloñ se tū mirī jaan ubhar dekh mujhe
'tāj' kahtā hai mohabbat ke har ik maare se
maiñ tasavvur huuñ kisī aur kā par dekh mujhe
dekh mujh ko ki tujhe tū hī dikhā.ī degā
tujh pe bhī ho ke rahegā ye asar dekh mujhe
aaj fursat hai to kuchh der Thahar dekh mujhe
mujh pe bhi Dal zara ek nazar dekh mujhe
mere shane pe tera sar kabhi hoga tab tak
rakh ke shane pe saheli ke hi sar dekh mujhe
ta-qayamat main jagah se na hilunga apni
ta-qayamat tu mujhe dekh magar dekh mujhe
jaane kab samjhegi tu main hi teri manzil hun
marhalon se tu meri jaan ubhar dekh mujhe
'taj' kahta hai mohabbat ke har ek mare se
main tasawwur hun kisi aur ka par dekh mujhe
dekh mujh ko ki tujhe tu hi dikhai dega
tujh pe bhi ho ke rahega ye asar dekh mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.