aaj guzre hue lamhon ko pukara jae
aaj guzre hue lamhoñ ko pukārā jaa.e
dil ko phir ḳhūn-e-tamannā se sañvārā jaa.e
merā har shauq bhī ho un kā har andāz bhī ho
dil meñ ab naqsh koī aisā utārā jaa.e
jab thakī-māñdī paḌī sotī ho har shorish-e-ġham
hijr kī raat ko kis tarah guzārā jaa.e
kuchh ho meyār-e-ḳhirad chāk-e-qabā aib sahī
chashm-e-ma.asūm kā ḳhālī na ishārā jaa.e
ābla-pā hai to kyā hai tū vo sargarm-e-safar
qāfile vaalo 'sabā' ko to pukārā jaa.e
aaj guzre hue lamhon ko pukara jae
dil ko phir KHun-e-tamanna se sanwara jae
mera har shauq bhi ho un ka har andaz bhi ho
dil mein ab naqsh koi aisa utara jae
jab thaki-mandi paDi soti ho har shorish-e-gham
hijr ki raat ko kis tarah guzara jae
kuchh ho meyar-e-KHirad chaak-e-qaba aib sahi
chashm-e-masum ka KHali na ishaara jae
aabla-pa hai to kya hai tu wo sargarm-e-safar
qafile walo 'saba' ko to pukara jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.