aaj hai kuchh sabab aaj ki shab na ja
aaj hai kuchh sabab aaj kī shab na jā
jaan hai zer-e-lab aaj kī shab na jā
kyā patā phir tire vasl kī sā.ateñ
huuñ kahāñ kaise kab aaj kī shab na jā
chāñd kyā phuul kyā sham.a kyā rañg kyā
haiñ pareshān sab aaj kī shab na jā
vaqt ko kaise tartīb dete haiñ log
aa sikhā de ye ab aaj kī shab na jā
vo sahar bhī tujhī se sahar thī 'asad'
shab bhī tum se hai shab aaj kī shab na jā
aaj hai kuchh sabab aaj ki shab na ja
jaan hai zer-e-lab aaj ki shab na ja
kya pata phir tere wasl ki saaten
hun kahan kaise kab aaj ki shab na ja
chand kya phul kya shama kya rang kya
hain pareshan sab aaj ki shab na ja
waqt ko kaise tartib dete hain log
aa sikha de ye ab aaj ki shab na ja
wo sahar bhi tujhi se sahar thi 'asad'
shab bhi tum se hai shab aaj ki shab na ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.