aaj hamein ye baat samajh mein aai hai
aaj hameñ ye baat samajh meñ aa.ī hai
tum mausam ho aur mausam harjā.ī hai
tū ne kaise moḌ pe chhoḌ diyā mujh ko
dil kī baat chhupā.ūñ to rusvā.ī hai
tere baad bachā hai kyā jīvan meñ mire
maiñ huuñ bhīgī shaam hai aur tanhā.ī hai
aaj mirī āñkhoñ meñ sāvan utregā
aaj bahut din baad tirī yaad aa.ī hai
aaj kī raat bahut bhārī hai donoñ par
aaj mujhe vo ḳhat lauTāne aa.ī hai
jaane maiñ kyā soch ke chup huuñ gum-sum huuñ
jaane kyā vo soch ke vāpas aa.ī hai
ye mehmān-navāzī hai yā aur hai kuchh
mere liye vo chaa.e banā ke laa.ī hai
aaj hameñ ye baat samajh meñ aa.ī hai
tum mausam ho aur mausam harjā.ī hai
aaj hamein ye baat samajh mein aai hai
tum mausam ho aur mausam harjai hai
tu ne kaise moD pe chhoD diya mujh ko
dil ki baat chhupaun to ruswai hai
tere baad bacha hai kya jiwan mein mere
main hun bhigi sham hai aur tanhai hai
aaj meri aankhon mein sawan utrega
aaj bahut din baad teri yaad aai hai
aaj ki raat bahut bhaari hai donon par
aaj mujhe wo KHat lauTane aai hai
jaane main kya soch ke chup hun gum-sum hun
jaane kya wo soch ke wapas aai hai
ye mehman-nawazi hai ya aur hai kuchh
mere liye wo chae bana ke lai hai
aaj hamein ye baat samajh mein aai hai
tum mausam ho aur mausam harjai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.