aaj har samt bhagte hain log
aaj har samt bhāgte haiñ log
goyā chaurāhā ho ga.e haiñ log
har taraf se tuḌe-muḌe haiñ log
jaane kaise Tike hue haiñ log
apnī pahchān bhiiḌ meñ kho kar
ḳhud ko kamroñ meñ DhūñDte haiñ log
band rah rah ke apne kamroñ meñ
tabaloñ par khule khule haiñ log
le ke bārūd kā badan yaaro
aag lene nikal paḌe haiñ log
rāsta kis ke paañv se uljhe
khūñTiyoñ par Tañge hue haiñ log
aaj har samt bhagte hain log
goya chauraha ho gae hain log
har taraf se tuDe-muDe hain log
jaane kaise Tike hue hain log
apni pahchan bhiD mein kho kar
KHud ko kamron mein DhunDte hain log
band rah rah ke apne kamron mein
tabalon par khule khule hain log
le ke barud ka badan yaro
aag lene nikal paDe hain log
rasta kis ke panw se uljhe
khunTiyon par Tange hue hain log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.