aaj is ka mujhe izhaar to kar lene do
aaj is kā mujhe iz.hār to kar lene do
pyaar hai tum se mujhe pyaar to kar lene do
tum nahīñ ho to adhūrī hai abhī merī hayāt
aaj is baat kā iqrār to kar lene do
us ko shāyad kabhī apnā bhī ḳhayāl aatā ho
is bahāne hameñ siñghār to kar lene do
umr bhar maiñ ne tarāshe haiñ jo patthar ke sanam
un se tum pyaar kā iz.hār to kar lene do
apnī hastī ko luTāyā hai 'ġhazal' jis ke liye
aaj us shaḳhs kā dīdār to kar lene do
aaj is ka mujhe izhaar to kar lene do
pyar hai tum se mujhe pyar to kar lene do
tum nahin ho to adhuri hai abhi meri hayat
aaj is baat ka iqrar to kar lene do
us ko shayad kabhi apna bhi KHayal aata ho
is bahane hamein singhaar to kar lene do
umr bhar main ne tarashe hain jo patthar ke sanam
un se tum pyar ka izhaar to kar lene do
apni hasti ko luTaya hai 'ghazal' jis ke liye
aaj us shaKHs ka didar to kar lene do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.