aaj ka din bhi guzar jaega
aaj kā din bhī guzar jā.egā
qāfila lauT ke ghar jā.egā
raah kaTtī hī nahīñ hai apnī
saath kab tak ye safar jā.egā
zaḳhm taaza hai to dil dukhtā hai
vaqt ke saath ye bhar jā.egā
aazmā gardish-e-daurāñ tū bhī
ā.īna aur sañvar jā.egā
bhāgte dauḌte lamhoñ kā safar
kab achānak hī Thahar jā.egā
sub.h khiltā huā har phuul 'shamīm'
shaam aa.ī to bikhar jā.egā
aaj ka din bhi guzar jaega
qafila lauT ke ghar jaega
rah kaTti hi nahin hai apni
sath kab tak ye safar jaega
zaKHm taza hai to dil dukhta hai
waqt ke sath ye bhar jaega
aazma gardish-e-dauran tu bhi
aaina aur sanwar jaega
bhagte dauDte lamhon ka safar
kab achanak hi Thahar jaega
subh khilta hua har phul 'shamim'
sham aai to bikhar jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.