aaj kal aap saath chalte nahīñ
is liye log ham se jalte nahīñ
kaise ġhazloñ kī rut javāñ hogī
jab nigāhoñ ke tiir chalte nahīñ
tum ko duniyā kahegī dīvānā
rut badaltī hai tum badalte nahīñ
shahroñ shahroñ hamārā chehra hai
aur ham ghar se bhī nikalte nahīñ
aaj kal aap sath chalte nahin
is liye log hum se jalte nahin
kaise ghazlon ki rut jawan hogi
jab nigahon ke tir chalte nahin
tum ko duniya kahegi diwana
rut badalti hai tum badalte nahin
shahron shahron hamara chehra hai
aur hum ghar se bhi nikalte nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.