Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj ke din ko yun bhar jaunga

Navin Joshi

aaj ke din ko yun bhar jaunga

Navin Joshi

MORE BYNavin Joshi

    aaj ke din ko yuuñ bhar jā.ūñgā

    ban ke ik umr guzar jā.ūñgā

    sub.h meñ paidā huā thā phir se

    aur phir raat ko mar jā.ūñgā

    maiñ ta.āqub meñ huuñ apne dil ke

    ye jidhar jaa.e udhar jā.ūñgā

    ye salīb aur ye kīleñ mujh se

    jo nikāloge bikhar jā.ūñgā

    is laḌā.ī meñ mire Dar se mirī

    chhoḌ kar apnī sipar jā.ūñgā

    haar ke bhī mujhe jaanā jo paḌe

    maiñ jhukā ke nahīñ sar jā.ūñgā

    manzileñ naam tumhāre kar ke

    saath meñ le ke Dagar jā.ūñgā

    ḳhatm merā ye safar hogā nahīñ

    rāste meñ ho to ghar jā.ūñgā

    baad mere na bharī jā.egī

    vo jagah dil meñ maiñ kar jā.ūñgā

    mustahiq aañkh milegī jo kahīñ

    de ke us ko maiñ nazar jā.ūñgā

    kuchh ghaḌī saath nibhā bhī duuñ to kyā

    āḳhirash to maiñ magar jā.ūñgā

    pyaas ko rakh ke kināre us ke

    ye jo sahrā hai maiñ tar jā.ūñgā

    aaj ke din ko yun bhar jaunga

    ban ke ek umr guzar jaunga

    subh mein paida hua tha phir se

    aur phir raat ko mar jaunga

    main taaqub mein hun apne dil ke

    ye jidhar jae udhar jaunga

    ye salib aur ye kilen mujh se

    jo nikaloge bikhar jaunga

    is laDai mein mere Dar se meri

    chhoD kar apni sipar jaunga

    haar ke bhi mujhe jaana jo paDe

    main jhuka ke nahin sar jaunga

    manzilen nam tumhaare kar ke

    sath mein le ke Dagar jaunga

    KHatm mera ye safar hoga nahin

    raste mein ho to ghar jaunga

    baad mere na bhari jaegi

    wo jagah dil mein main kar jaunga

    mustahiq aankh milegi jo kahin

    de ke us ko main nazar jaunga

    kuchh ghaDi sath nibha bhi dun to kya

    aaKHirash to main magar jaunga

    pyas ko rakh ke kinare us ke

    ye jo sahra hai main tar jaunga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now