aaj KHat humne un ko likha aaKHiri
aaj ḳhat ham ne un ko likhā āḳhirī
lafz pahlā vafā bevafā āḳhirī
sab se chhup ke chhupā ke mujhe dekhnā
yaad aatī hai un kī adā āḳhirī
baa'd tere nahīñ ab koī aarzū
tū hī pahlā tū hī ḳhvāb thā āḳhirī
zindagī ab guzar jā.egī hijr meñ
'ishq kī ye judā.ī sazā āḳhirī
maut aa.e to sar terī bāhoñ meñ ho
saañs kā ho yahī silsila āḳhirī
zikr se terī kaTtī rahī zindagī
naam terā zabāñ par rahā āḳhirī
aaj KHat hum ne un ko likha aaKHiri
lafz pahla wafa bewafa aaKHiri
sab se chhup ke chhupa ke mujhe dekhna
yaad aati hai un ki ada aaKHiri
ba'd tere nahin ab koi aarzu
tu hi pahla tu hi KHwab tha aaKHiri
zindagi ab guzar jaegi hijr mein
'ishq ki ye judai saza aaKHiri
maut aae to sar teri bahon mein ho
sans ka ho yahi silsila aaKHiri
zikr se teri kaTti rahi zindagi
nam tera zaban par raha aaKHiri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.