aaj ki sham Thahar jao ghazal hone tak
aaj kī shaam Thahar jaao ġhazal hone tak
iltijā hai ki na ghar jaao ġhazal hone tak
tum gul-e-ra.anā ho ḳhush-rang ho ḳhush-baḳht bhī ho
ḳhushbū ban ban ke bikhar jaao ġhazal hone tak
so.e ehsās kī lahroñ meñ machā do halchal
aañkh se dil meñ utar jaao ġhazal hone tak
phir ḳhudā jaane ye ā.īna rahe yā na rahe
aaj mauqa hai sañvar jaao ġhazal hone tak
apne har ḳhvāb ko kāġhaz pe mukammal kar luuñ
merī āñkhoñ meñ Thahar jaao ġhazal hone tak
kis tarah tum ko 'surūr' aaj qalam-band kare
mujh ko batlā ke hunar jaao ġhazal hone tak
aaj ki sham Thahar jao ghazal hone tak
iltija hai ki na ghar jao ghazal hone tak
tum gul-e-rana ho KHush-rang ho KHush-baKHt bhi ho
KHushbu ban ban ke bikhar jao ghazal hone tak
soe ehsas ki lahron mein macha do halchal
aankh se dil mein utar jao ghazal hone tak
phir KHuda jaane ye aaina rahe ya na rahe
aaj mauqa hai sanwar jao ghazal hone tak
apne har KHwab ko kaghaz pe mukammal kar lun
meri aankhon mein Thahar jao ghazal hone tak
kis tarah tum ko 'surur' aaj qalam-band kare
mujh ko batla ke hunar jao ghazal hone tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.