aaj mauqa hai jo kahna hai meri jaan kahiye
aaj mauqa hai jo kahnā hai mirī jaañ kahiye
phir na shāyad ho kabhī vaqt mehrbāñ kahiye
itnī qabreñ haiñ umīdoñ kī mire dil meñ ki ab
shahr-e-dil ko bhī mire shahr-e-ḳhamoshāñ kahiye
yuuñ to is shahr meñ sab dost haiñ apne lekin
kis ko hamdard kise dard kā darmāñ kahiye
tīrgī rātoñ kī jhelī hai ki aa.egī kabhī
sub.h ik aisī jise sub.h-e-daraḳhshāñ kahiye
sahte aa.e haiñ sitam aap ke hañste hue ham
aur bhī dil meñ agar ho koī armāñ kahiye
dhund phailegī udāsī kī abhī duur talak
hijr kī rut hai jise fasl-e-zamistāñ kahiye
kis ke ḳhvāboñ se sajā rakkhī haiñ āñkheñ apnī
kis kī ḳhātir hai ye palkoñ pe charāġhāñ kahiye
aaj mauqa hai jo kahna hai meri jaan kahiye
phir na shayad ho kabhi waqt mehrban kahiye
itni qabren hain umidon ki mere dil mein ki ab
shahr-e-dil ko bhi mere shahr-e-KHamoshan kahiye
yun to is shahr mein sab dost hain apne lekin
kis ko hamdard kise dard ka darman kahiye
tirgi raaton ki jheli hai ki aaegi kabhi
subh ek aisi jise subh-e-daraKHshan kahiye
sahte aae hain sitam aap ke hanste hue hum
aur bhi dil mein agar ho koi arman kahiye
dhund phailegi udasi ki abhi dur talak
hijr ki rut hai jise fasl-e-zamistan kahiye
kis ke KHwabon se saja rakkhi hain aankhen apni
kis ki KHatir hai ye palkon pe charaghan kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.